Hello Dosto! Upstox ek bahut he Popular Indian Financial Investment Service hai isme aap online trading karke paise kama sakte hai lekin trading karne ke liye aapko Demat Account ki Zaroorat hogi, To Is article me hum janenge ki Upstox Trading Online Demat Account कैसे बनाये aur jald se jald Trading kaise shuru kare.
Upstox par Demate Account Open karne ke liye kya kya Documents lagte hai.
- Pan Card
- Aadhaar Card
- Bank Pass Book
Online Trading Demat Account
यह भी पढ़ें : Upstox Trading से पैसे कैसे कमाए?
1. Upstox par Account open karne ke liye sabs pahle aapko Upstox ki website / App par jana hai . Aap Account Open karne ke liye Niche di gayi Link par Click kare.
2. Iske baad aapko yaha par Phone Number and Email ID daal kar Send OTP par click karna hai aur OTP receive karna hai.
3. Next Screen me aapko Pan number and Date of birth enter karni hogi fir next par click karna hoga.
4. Next Step me aapko kuch sawalo ke jawab par click karna hai. Jaise ki Gender, Marital status, Annual Income, Trading experience, and Occupation.
5. Agle step me aapko Aap NRI hai ya nahi pucha jayega aapko waha par yes or no par click karna hoga.
6. Ab aage step me aap Equity,FO Commodity inme se kisi ek ya fir 2 option par click karke priority ya basic plan ka chunaw karna hai.
7. Aapko ab apni bank details yaha par submit karni hogi. Aapka bank Account nationalized hona chahiye.
8. Iske baad aapko yaha par Income proof (optional) and Signature JPG Format me upload karni hogi.
Sabhi information sahi sahi fill karne ke baad aapka Upstox demat account 24 - 48 hours me open ho jayega.
यह भी पढ़ें : Keyword Research kaise kare?
Offline Trading Demat Account
1. Offline Demat Account Open karne ke liye Internet se Account Opening Form ki print nikale
2. Form ko fill karke us par apni signature and Passport Size photo lagana hai.
3. Form ko bataye gaye sabhi documents Form ke sath jodne hai aur niche diye address pat courier karna hai.